श्री चैतन्य चरित्रामृतम

Monday, 25 February 2019

वृन्दावन प्रेम कथा राधा कृष्ण vrindavan satya katha prem katha radha krishna prem


Krishna aur Radha ka prem anokha aur nyara hai. Yah Prem-rahasya koi prabhu ka bhakt hi samajh sakta hai. radha ji aur prabhu prem ki ek katha prasang is prakaar hai....

Ek baar Radhaji apni sakhiyon sang Prabhaas Tirth par snan karne gayin. Vahan par Shri Krishna ji bhi Rukmini ji aur apni anya raniyon sang snaan karne gaye hue the. Radha ji ko dekh kar Rukmini ji ke man me unke prati sneh tatha aakarshan apne aap hi hone lagaa. Prabhu se mata ne poochha-"Prabhu ye naari kaun hain jinhe dekh mujhe bohot apnatva tatha prem ka aabhaas ho raha hai. Maine aisi sundarta nahi dekhi. Prabhu ne kaha "Aapne satya kaha. Ye samast braj ki dulaari, Vrishbhaanu tathaa Sukirti ji ki putri Radha hain. Main bhi inse atyadhik sneh karta hun."

Rukmini ji ne jab ye suna to Radhaji ko apne paas bulaya aur unka aadar-satkaar bade prem-bhaav se kiya. Unko apne paas bithaakar garam-garam doodh pilayaa. Radha ji ke jaane ke baad jab vo Krishna ji ke paas gyin to unhone dekha ki Kishna ji ke paon me chhaale pade hue hain. Ye dekh Rukmini ji vichalit ho gyin. Unhone Prabhu se poochha-: "ye chhaala apke pairon me kaise padaa Prabhu".

Prabhu ne muskurate hue kaha "Devi!Ye apke garam doodh ke kaaran padaa hain". Rukmini ji ko badi hairani hui ki unhone garam doodh to Radha ji ko pilaya tha. Prabhu ne unke asmanjas ko samajhte hue kaha "Radha ne apne hridaya me mere charno ko dhaaran kar rakha hai. isliye devi, unke piye garam doodh se mere pairon me chhaale pad gye hain. Ye ek gup rahasya hai jise mai aj apko bataa raha hun."

Ye sunkar Rukmini ji ne man hi man Radha ji ko pranaam kiya tathaa unse aashish liya.